Thursday, 7 September 2017

Types of Hackers

Dosto is post par main apko hacker ke types ke bare mai btauga vaise to main hackers ke 3 types hote hai white hat hacker , black hat hacker, grey hat hacker. par phir bhi hackers ki bahut saare types hai mai apko sabhi ke bare mai btaauga .


White hat hackers

White hat hacker ko ethical hacker bhi kaha jata hai white hat hacker kisi bhi target par attack karne se pahle permission lete hai phir attack ko perform karte hai ye ache hackers hote hai jo legal kam karte hai white hat hackers apni skills ko sahi jagah use karte hai.

Black hat hackers

Black hat hacker kisi bhi attack ko karne ki permission nahi lete black hat hackers apni hacking skills ka galat istmal karte hai Black hat hackers jadtar carding , website hacking, bank account hacking jaise kam karte hai ye unauthorize tarike se kisi bhi chij par attack perform karte hai 

Grey hat hackers

Grey hat hacker dono hackers ke kam karte hai white hat hacking or black hat hacking dono karte hai par grey hat hackers dunia ke samne sirf white hat hacking karte hai or akele mai kisi ko bina btaye black hat hacking bhi karte hai isilye inhe Grey hat hackers kaha jata hai.

Script Kiddies

Script Kiddies unhe kaha jata hai jinhe hacking ke bare mai jada jankari nahi hoti script kiddies fun ke liye hacking karte hai jaise unhe koi hacking tool mil gya or vo uska use kar rahe hai lekin uhne ye bhi nahi pta hota ki vo tool kam kaise kar rha hai .

Green hat hackers 

Green hat hackers ko newbies bhi kaha jata hai jo hacking ki field mai new hote hai jinhe hacking ki jada jankari nahi hoti Green hat hackers ko sikhne ki chahat bahut hoti hai.

Red hat hackers

Red hat hackers lagbhag White hat hackers ki tarah hi hote hai par inke pass koi degree nahi hoti hai par Red hat hackers logo ki madad karna chahte hai Red hat hackers hacking ko khud hi sikhte hai Red hat hackers ke pass koi Certificate ya Degree nahi hoti hai.

Blue hat hackers

Blue Hat Hackers ko basic knowledge hoti hai hacking ki par hacking ki depth mai knowledge nahi hoti Green hat hackers ke bad Blue Hat Hackers bante hai hum ik tarah se keh sakte hai ki Blue hat hackers ko practical Knowledge kam hoti hai.

Hacktivist 

Hacktivist sirf websites ko hack karte hai Hacktivist ka maksat kisi website ko hack karke website ke owner ko btana hota hai ki apki website secure nahi hai Hacktivist websites ko deface karte hai defacement kya hai or kaise karte hai mai apko age btauga. 

Visit Karne Ke Liye Aapka Sukriya.

No comments:

Post a Comment