Sunday, 10 September 2017

Social engineering full explanation

Dosto is post par main aapko Social engineering ke bare mai puri jankari dunga yeh post educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka missuse mat kare. Social engineering ka mtlb kisi insan ke dimag se khelna hota hai aise chij hai jisme ek hacker ko bahut expert hona padta hai ek hacker jitna expert hoga Social engineering mai chances utne hi jada hote hai kisi attack mai sucessful hone ke jaise or Social engineering hacking ke jadtar har attacks mai kam ati hai jaise phishing attack karte hai to ek hacker kehta hai apne victim ko ki yaha log in karo balance milega , facebook pics par links badege kuch bhi ye bhi Social engineering ka hi hisa hai aap ek tarah se samjh sakte hai ki Social engineering ke bina ek hacker kuch nahi kar sakta Social engineering bahut badi hai bahut sare tarike hai main apko apne tarike share karunga niche aap unse smjh sakte hai ki Social engineering ka use ek hacker kis had tak kar sakta hai. 





Social engineering ko use karna aapko main kuch examples ke through bata raha hun in examples se aap andaja laga sakte hai ki ek hacker Social engineering ks use karke kya kya kar sakta hai. ise bachana ke liye hume hmesha alert rehna padta hai jo bahut jaruri hai apki choti ci ek galti kisi bhi hacker ke Social engineering attack ko sucessful kar sakta hai 

Examples


  • jaise ek hacker ek aap create karta hai or apne aap ko aise aap ke sath attach kar deta hai jiski jrurt hacker ke victim ko hai or phir apne victim ko  bolta hai ki is app ko install karle bahut acha aap hai or jab vo aap install karta hai to uske samne to vahi app show hoga jo chahiye lekin background mai hacker ka payload active ho jayga.

  • jaise ek hacker ek pdf file create karta hai or apne pdf ko aise pdf ke sath attach kar deta hai jiski jrurt hacker ke victim ko hai or phir apne victim ko  bolta hai se pdf  ko install karvata hai  or jab vo pdf install karta hai to uske samne to vahi pdf show hogi jo chahiye lekin background mai hacker ka pdf format payload active ho jayga.
  • jaise ek hacker ek pdf create karta hai or apne  pdf  ko steganography ka use karke kisi picture mai hide karta hai phir apne victim ko  bolta hai ki apke liye message hai is pic mai aap ise open karke pade phir jab victim use picture mai se pdf ko padta hai to pdf format payloadactive ho jata hai or victim ko hidden message bhi mil jata hai or hacker ka kam bhi ho jata hai.

aap in example se andaja laga sakte hai ki Social engineering ka use kis had tak kiya ja sakta hai aise bahut sare examples or tarike hai ye depend karta hai ki hacker kaha tak soch sakta hai.




main ummed karta hu ki aapko Social engineering ke bare mai puri jankari mil gayi hogi. dhyan rahe ye post sirf educational purpose ke liye hai . post achi lage to share kare dhanywad.



No comments:

Post a Comment