Tuesday, 12 September 2017

Session Hijacking full explanation

Dosto is post par main aapko Session Hijacking ke bare main puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai. sabse pahle jante hai ki Session Hijacking hota kya hai sabhi websites jab open hoti hai to unka ek session create hota hai jaise manlo apne facebook.com open ki apna username password enter kiya to yeh apka session bana hai kayi log Session Hijacking or Cookies Hijacking ko same samjhte hai lekin aisa nahi hai yeh dono mai bahut antar hai main aapko btata hu Sessions jo save hote hai vo server par hote hai or session id bhi banti hai ek or server par session store karne ke liye unlimited space hota hai or bahut secure bhi hota hai. apko youtube par bahut sari videos mai mil jayga jaha Session Hijacking or Cookies Hijacking ko same btaya jata hai par aisa bilkul nahi hai .


aab mai apko bata raha hu ki hacker is attack ko karta kaise hai main aapko yeh attack perform karke nahi dikha sakta ek bar mera youtube channel isi hacking ki videos ki vjh se delete hua hai isliye par main apko iske bare mai pura btaunga jarur ki kaise ek hacker ise karta hai jaise ki maine btaya ki session server par stored hote hai to ek hacker user or server ke bich mai connection bana leta hai phir jab user facebook.com ko open karta hai apna username password enter karta hai to vo session server ke pass user ke through nahi jata pahle hacker ke pass jata hai phir hacker server ko bhejta hai is tarh se hacker session ko hijack bhi kar leta hai or user ke pass uska facebook account open bhi ho jata hai or user ko kuch bhi nahi pata chalta ye attack bahut hi dangerous hai aap ise kabhi mat karen kyu ki agar server ko kuch bhi nuksan hua apki galti ki vjh se to aapko bahut problem  bhi ho sakti hai .aap is picture se samjh sakte hai.

mai ummeed karta hu ki aap sabko ke bare Session Hijacking ki  puri mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad.



Social engineering full explanation







Visit karne ka apka shukriya.

No comments:

Post a Comment