Wednesday, 6 September 2017

Acha Ethical Hacker kaise bane


Dosto m aap sabhi ka AllComputerKnowledge par swagat karta hu. yaha aaj m aapko internet se judi duniya ki us important jankari ke bare me batauga jisko app sab log bhi jana chahte hai  kyonki aaj ka yug technology ka yug h. aaj humari technology bahut hi advance ho chuki hai dosto aap akshar Google par search karte rehte hn ki “How to hack Whatsapp”, “How to hack Facebook”, “How to hack Wi-Fi”, “How to hack Website”, mai apko sab kuch hacking ka btauga yaha ise pahle mera youtube channel bhi hua karta tha mai vaha practicals dalta tha but youtube ki community guidelines ki strike aane ki vjh se band ho gya or majburan mujhe sbhi videos delete karni padi taki mera youtube account delete na ho isliye mai ab apko sab kuch yaha btauga chaliye shuru karte hai  sabse pahle hum aapko btaenge ki aakhir hacking kya h ? ethical hacking & cyber security kya h ? ethical hacking & cyber security me carrier kaise banaye ?

Hacking kya Hai ?

Hacking illegal hai jaise ki aap sab logo ko malum hai ki hacking karna kisi ki permission liye bina kisi bhi chij par jaise emails, websites par ek cyber crime hai agar ap hacking bina permission ke karte hai to apko jail bhi ho sakti hai par aap hacking educational purpose ke liye sikh sakte hai hacking sikhane ke liye india mai bahut se institutes hai but mai apko agr un institues ki sachai btau to aap india mai kisi bhi institue par chale jaye apko jada nhi btaya jata vaha par kyunki hacking illegal hai log hacking ka missuse karte hai  yaha mai apke sath apni hacking ki sari jankari share karugaa .



Ethical Hacking Kya Hai ?


jadatar logo hacking fun ke liye sikhna chahte hai apne freinds ki facebook , whatsapp hack karne ke liye par mai apko bta du ki hacking sirf facebook , whtsapp tak hi simit nahi hai ethical hacking ko white hat hacking bhi kaha jata hai ethical hacking mai hacker kisi bhi attack ko karne ki pahle permission leta hai fir us attack ko karta hai jo ki sahi hai agar aap bhi aisa karege to aap kabhi bhi cyber law ke against nhi jayege ethical hacking hacking karne ka sabse sahi tarika hai .

Ethical Hacking Me Scope Kya Hai ?

dosto ab aapke liye ye janna bhi jaruri h ki aakhir ethical hacking me kya scope hn ? or ek perfect ethical hacker kitne paise kama sakta h ? or kaha se kama sakta h ?
Ethical hacking ka india mai bahut acha scope hai par ek sucessfull ethical hacker bane ke liye apko bahut mehnat karni padegi ek ache ethical hacker ko computer se relatedhar chij ki deeply knowledge hoti hai jaise agar aap ek ache ethical hacker bana chahte hai to apko bahut knowledge hona jruri hai mai apko bta rha hu points mai ki apko kis kis chij ki achi knowledge honi chahiye

*.Computer Hardware

*.Operating Systems

*.CCNA , CCNP or Network+

*.Cryptography

*.Security+

*.Computer Forensics,

*.MCSA (Server 2008,2012), Linux+,

*.CISSP

*.Programming Languages

*.Social Engineering Or Manipulation

*.Malware Analysis

*.Softwares

*.Ethical Hacking Or Bahut kuch.

Dosto agar apko in sab ki bahut knowledge hai to aapko ek achi job mil sakti hai ek ethical hacker ki salary uski skills par depend karti hai apki skills jitni jada hogi apko companies utni hi achi salary degi aj kal har company ko ethical hacker ki jarurt hai kyunki har koi chahta hai ki uski company ki information secure rahe or ethical hacker ka kam yahi hota hai ki companies ki personal information ko secure rakhna ek ethical hacker ki salary 30000 se leker 1 lakh tak ho sakti hai par ye depend karta hai ki apko kitni knowledge hai apko in chijo ko jitni jada knowledge hogi apko utna hi fayda hoga . agar apko ye post achi lage to ise share jarur kare mujhe khushi hogi agar meri knowledge apke kam aye

Visit Karne Ke Liye Aapka Sukriya.

Types of Hackers

No comments:

Post a Comment